Pehla demo class bilkul muft — fee pehle se pata, koi chhupi hui charge nahi.

Privacy Policy

Aakhri update: November 2026 · Ustaad, Hyderabad, Pakistan

Aapka data aapki amanat hai. Ye policy saaf batati hai ke hum kya jama karte hain, kyun karte hain, aur kya kabhi share nahi karte.

Hum kya data jama karte hain

Parents/students: naam, mobile number, email (agar diya ho), aur tuition request ki tafseel (subject, level, area, budget).

Tutors: naam, mobile number, email, password (hash shuda — asal password hum kabhi nahi dekhte), taleemi tafseel, CNIC number, aur profile ki maloomat (subjects, areas, fee range).

Verification ke waqt maangi gayi CNIC aur degree ki tasaveer sirf verification ke liye istemal hoti hain.

Data kis liye istemal hota hai

Parents ko tutors se milana, demo classes coordinate karna, aur tuition requests par kaam karna.

Tutors ki verification — CNIC aur degree check karna.

Service behtar banana aur dhokha-dahi rokna.

Hum aapka data kabhi kisi teesre fareeq ko bechte nahi, aur ishtehaar ke liye share nahi karte.

Kya public hota hai, kya nahi

Tutor profiles par sirf ye dikhta hai: naam, subjects, levels, areas, fee range, tajurba, taleem aur reviews.

CNIC number, poora address, phone number aur documents kabhi public nahi hote.

Phone number sirf tab share hota hai jab demo confirm ho jaye — aur sirf us tutor ya parent ke saath jo demo me shaamil hai.

Data kitni der rakha jata hai

Jab tak aapka account active hai, data rehta hai. Account band karne par hum aapka personal data mita dete hain, siwaye us ke jo qanoon ke mutabiq rakhna zaroori ho.

Unpublished tutor profiles 30 din ke baad delete kar diye jate hain, jab tak tutor khud na kahe ke profile rakhni hai.

Aapke huqooq

Aap kabhi bhi apna data dekhne, theek karne ya delete karne ki darkhwast kar sakte hain — humein email karein ya WhatsApp par likhein.

Aap apna profile kabhi bhi deactivate kar sakte hain.

Rabta

Privacy ke kisi bhi sawal ke liye: 0devmazhar@gmail.com ya WhatsApp 0318 3656365.