Hyderabad ka apna ustaad — aur ye sirf naam nahi, waada hai.
Hyderabad me achha tutor dhoondna aasan nahi tha. Ya to rishtedaaron se poochna parta tha, ya Facebook groups me andha dhundh dhoondna parta tha — aur fee ka pata tab chalta tha jab ustaad ghar aa chuka hota tha. Hum ne socha: ye kaam behtar tareeqe se ho sakta hai.
Ustaad Hyderabad ke liye bana hai — sirf Hyderabad ke liye. Latifabad ke Units, Qasimabad, Hussainabad, Hala Naka, Saddar: hum in areas ko jaante hain, in ke schools ko jaante hain, aur in ke parents ki fikrein samajhte hain.
Hum kis cheez par compromise nahi karte
Verification pehle, profile baad me
Har tutor ka CNIC aur degree humari team check karti hai, phir interview hota hai. Sirf verified tutors search me aate hain.
Fee upfront, hamesha
Har tutor ki monthly fee range uske profile par likhi hoti hai. Parents ko andaza lagane ki zaroorat nahi, aur tutors ko behes ki nahi.
2 ghante ka waada
Tuition request ya demo booking par 2 ghante ke andar pehla rabta — warna hum khud follow-up karte hain.
Parents se kabhi fee nahi
Tutor dhoondna, demo book karna, request bhejna — parents ke liye sab kuch hamesha muft rahega.
Kaam kaise chalta hai
Parents: tutor dhoondo, profile par fee dekho, muft demo book karo. Demo pasand aaye to shuru karo — na aaye to doosra tutor, koi paabandi nahi. Ya bas tuition request bhej dein, hum khud dhoond kar denge.
Tutors: profile muft banao, verification karwao (one-off Rs 2,000), aur students aap tak pohanchte hain. Har nayi tuition par sirf pehle mahine ki fee ka 10% service charge — uske baad poori fee aapki.
Hum: marketplace chalate hain — verification, matching, demo coordination aur agar kabhi masla ho to sulah. Hum tutors ko mulazim nahi rakhte; har tutor khud-mukhtaar hai.