Aam sawalat (FAQs)
Jawab na mile to hum se rabta karein — WhatsApp par sab se tez jawab milta hai.
Parents ke liye
Parents ke liye Ustaad muft hai?
Ji, bilkul muft — tutor dhoondna, demo book karna, tuition request bhejna, sab kuch. Parents se kabhi koi fee nahi li jati.
Tutor kaise dhoondoon?
Do tareeqe hain: khud search karein (subject, area, level aur fee ke mutabiq) ya tuition request bhej dein — hamari team 2 ghante ke andar aapke liye behtareen tutor dhoond kar degi.
Fee kaise tay hoti hai?
Har tutor apni monthly fee range profile par likhta hai. Demo ke baad aap aur tutor mil kar final fee tay karte hain — us range ke andar. Koi chhupa charge nahi.
Demo class muft hai?
Ji — har tutor ke saath pehla demo class bilkul muft hai. Demo pasand na aaye to koi paabandi nahi, doosra tutor try karein.
Tutor verified kaise hota hai?
Har tutor ka CNIC aur taleemi sanad humari team check karti hai, phir ek chhota sa interview hota hai. Sirf verified tutors hi search me nazar aate hain — profile par Verified badge isi ka saboot hai.
Mera phone number kis ko milega?
Sirf hamari team ko — aur demo confirm hone ke baad usi tutor ko jis se demo book hua hai. Aapka number kabhi public nahi hota.
Online tuition bhi hoti hai?
Ji — bohat se tutors online bhi parhate hain. Search me Mode filter se 'Online' chunein.
Tutors ke liye
Tutor banne me kitna kharcha aata hai?
Profile banana bilkul muft hai. Verification ke liye one-off Rs 2,000 fee hai (bank transfer). Uske ilawa, har nayi tuition par pehle mahine ki fee ka 10% service charge hota hai — sirf pehle mahine ka.
Verification me kya hota hai?
Aap CNIC number dete hain, phir team WhatsApp par CNIC aur degree ki tasveer maangti hai, aur ek chhota sa interview hota hai. Verification ke baad aapka profile search me live ho jata hai.
Mujhe students kaise milenge?
Do tareeqe: parents aapka profile dekh kar khud demo book karte hain, aur hamari team tuition requests par aapko refer karti hai. Achhe reviews aur jaldi jawab se referral zyada milta hai.
Fee kab aur kaise milti hai?
Fee aap aur parent aapas me tay karte hain — aam taur par mahine ke shuru me, direct. Service charge pehli payment milne ke 48 ghante ke andar bank transfer se pay karna hota hai.
Kya main apni fee aur timing khud tay kar sakta hoon?
Ji — fee range, areas, subjects aur timing sab aap tay karte hain. Aap kabhi bhi profile update kar sakte hain ya pause kar sakte hain.
Verification fee refund hoti hai?
Agar 6 mahine me 30 ya zyada applications ke baad bhi koi demo na mile to 100% refund; 20–30 applications par 50%. Tafseel terms page par hai.